Saturday, August 2, 2008

Woh Shaks


Zindagi ki rahon mein chalte-chalte,
apni manzil ko taalashte taalashte.
nazar aaya ek shaks mere saamne,


jise dekhte hi chehre pe muskaan si aa jaati hai,
jiske kareeb aane se hi nazar sharma jaati hai,
jiski awaaz dil ki dhadkane bada jaati hai,
jisse baat karne ko zuban bhahana dhundti hai,
jisko pane ko kadam badna chahte hai,

socha mang lun usko main ussi se,
par inkaar ke darr se seham gayi,
kadam badane se phele pucha maine khuda se,
kya mera humsafar hai shaks yahi,
ab har pal bitata hai mera intzaar mein,
waqt bitata gaya aur chahat bad gayi
meri hazaaron duaon mein ek dua aur bad gayi,
maanga maine us shaks ko apni har dua mein...

No comments: