Saturday, August 2, 2008

woh din bhaut khaas tha



woh din bhaut khaas tha,
humne jab apne rishte ko
nayi pehchaan naya naam diya tha,
saara din hamara pyaar gehraiyon mein duba hua tha...

samander ki gehariyon se bhi zayada gehra...

woh din bhaut khaas tha

Par main akeli nahi aayi thi
mere sath tha yeh sab-




thodi si subah ki taazagi-
sath nayi manziloon ko pane ke liye.
thoda sa dhup ka tukda-
rishte mein zara-zara si garmi ke liye.
thodi si sard hawa-
ek doosre ke kareeb aane ke liye.
thodi si baarish-
apna pyaar khilta rehe isliye.
dhalti shaam ka aanchal-
apne raaz chupane ke liye.
chandani raat ka chaandani-
pyaar ko roshan karne ke liye.

woh din bhaut khaas tha

woh raat bhi bhaut khaas thi...
taaron ki chaader mein pyaar lipta hua tha.
badalon mein chipa chand hume niharata tha.
ayr chanchal hawaon mein mehkati khushboo...
sach woh raat bhi bhaut khaas thi..

No comments: