Thursday, October 9, 2008

sher-o-shayari


Bhoole hain rafta-rafta unhe muddaton ke baad..

Bhoole hain rafta-rafta unhe muddaton ke baad..

ke kishton mein khudkushi ka mazaa hamse puchiye...!!!!


--------------------------------------------------------------------

Falak pe teer ka bhi ek nishaana tha,

udhar bizliyaan chamak rahi the,

idhar hamaara aashiyaana tha,

Pahonch rahi the kinaaare pe kisti-e-ummeed,

is toofaaan ko bhi abhi aana tha.


----------------------------------------------------------------------

baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein

mai samajh jaoonga nazron se bataana mujh ko

vada utnaa hi karo jitana nibha sakte ho

Khwaab pura jo na ho woh na dikhana mujh ko

apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena

main to aashiq hoon dewaana na bana mujh ko....


-----------------------------------------------------------------


ai mere humnashiiN chal kahiiN aur chal

is chaman meiN ab apna guzaara nahiiN

baat hoti guloN tak to seh lete hum

ab to kaaNtoN pe bhi haq hamara nahiiN
-------------------------------------------------------------------------

Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai

Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai

Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

--------------------------------------------------------------


Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge,

Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge,

Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena,

Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge.


-------------------------------------------------------
Ladki boli: Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,

Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,

Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.


Ladka bola :Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,

Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,

Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.


Accha hua ke tum bewafa nikle Saale wafadaar to kutthe hote hain

No comments: